Tumne aana chhod diya hai
Maine manana chhod diya
Doston mein ab bhi khilkhilati hu
Akele mein muskurana chhod diya
Tumhari tasveer vahin hai usi Diwar par
us par haq jatana chhod diya
Tumne aana chhod diya hai
Maine manana chhod diya
Kajal ab bhi lagta hai aankho mein
Dhul na jaye , aansu bahana chhod diya
Rang jaisa hai vaisa hi rahega
Gore rang par itraana chhod diya
Tumne aana chhod diya hai
Maine manana chhod diya
Khayal tumhare hi the kal bhi aaj bhi hain
Logon ko kahaniya sunana chhod diya
Tumhe pane ki mannat mein pasandida mithai chhodi thi
Ab us mithai ne bhi lalchana chhod diya
Umeed pe duniya kayam thi aaj bhi hai
Bas.. Sapne sajana chhod diya
Ishwar achhe insaan ko khush hi rakhta hai
ab tumhari khushi ki duaein dohrana chhod diya
Tumne sirf aana hi chhoda hai
Maine sunana , itrana , muskurana chhod diya