Powered By Blogger

Thursday, April 14, 2011

Kuchh tumne chhod diya ..Kuchh maine...

Tumne aana chhod diya hai
Maine  manana chhod diya

Doston mein ab bhi khilkhilati hu
Akele mein muskurana chhod diya

Tumhari tasveer vahin hai usi Diwar par
us par  haq jatana chhod diya

Tumne aana chhod diya hai
Maine  manana chhod diya

Kajal ab bhi lagta hai aankho mein
Dhul na jaye  , aansu bahana chhod diya

Rang jaisa hai  vaisa  hi rahega
Gore rang par  itraana chhod diya

Tumne aana chhod diya hai
Maine  manana chhod diya

Khayal tumhare hi the kal bhi  aaj bhi  hain
Logon ko kahaniya sunana chhod diya

Tumhe pane ki mannat mein pasandida mithai chhodi thi
Ab us mithai ne bhi  lalchana chhod diya 

Umeed pe duniya kayam thi aaj bhi hai
Bas..  Sapne sajana chhod diya

Ishwar achhe insaan ko khush hi rakhta hai
ab tumhari khushi ki duaein dohrana chhod diya

Tumne sirf aana hi chhoda hai
Maine  sunana , itrana , muskurana chhod diya

6 comments:

ksharma said...

bahut aacha........IT industry main rah ke bhi ap itna aacha sooch pate ho .....!!!

Life Reflects ! said...

Insaan toh insaan hai...kisi bhi industry mein ho.... Tum bhi toh IT industry mein rehkar ye appreciate kar paa rahe ho ! Thanks nyways for reading Me...

shreya srivastava said...

it really reflects the sadness encountered after a bitter break up

Life Reflects ! said...

Sadness hai ...Bitterness Nahi hai ...nyways ...share with me ur recent writings ...havent read you for long !!

Unknown said...

Tooooo gud!!!!!!! felt like touching the soul

ksharma said...

wating for something new ......but not sad one :)